main jab tere ghar pahuncha tha
tu kahin bahar gaya hua tha
tere ghar ke darwaze par
suraj nange panw khaDa tha
diwaron se aanch aati thi
maTkon mein pani jalta tha
tere aangan ke pichhwaDe
sabz daraKHton ka ramna tha
ek taraf kuchh kachche ghar the
ek taraf nala chalta tha
ek bhule hue des ka sapna
aankhon mein ghulta jata tha
aangan ki diwar ka saya
chadar ban kar phail gaya tha
teri aahaT sunte hi main
kachchi nind se chaunk uTha tha
kitni pyar bhari narmi se
tu ne darwaza khola tha
main aur tu jab ghar se chale the
mausam kitna badal gaya tha
lal khujuron ki chhatri par
sabz kabutar bol raha tha
dur ke peD ka jalta saya
hum donon ko dekh raha tha
Ghazal
Main jab tere ghar pahuncha tha
Nasir Kazmi