main jab se sach ko sach kahne laga hun
jahan ki aankh mein chubhne laga hun
ujala banTne ki ye saza hai
anhariya chand sa ghaTne laga hun
bharam rakhna un aankhon ka ki jin ko
main roshan-dan sa lagne laga hun
main us kirdar ko ab ji sakunga
main us kirdar par marne laga hun

Ghazal
Main jab se sach ko sach kahne laga hun
Prabudha Saurabh