اردو हिंदी
Main jab bhi tere shahr-e-KHush-asar se nikla | Shaahi Shayari
main jab bhi tere shahr-e-KHush-asar se nikla

Ghazal

Main jab bhi tere shahr-e-KHush-asar se nikla

Zia Faruqi

;

main jab bhi tere shahr-e-KHush-asar se nikla
ek qabr ka TukDa bhi falak-zar se nikla

har war mein muzmar teri hikmat hai sipahi
har jit ka muzhda teri talwar se nikla

phir apni hi haibat mein giraftar hua main
phir koi darinda mere pindar se nikla

ye kis ne safine ko nikala hai bhanwar se
ye kaun shanawar hai jo manjdhaar se nikla

kuchh bhi na mila mere KHaridar ko mujh mein
is ka bhi pata chashm-e-KHaridar se nikla

ye kaun hai jo ban ke kiran nach raha hai
ye kaun hai jo rauzan-e-diwar se nikla

us samt nazar aae ghazalan-e-qaba-posh
is samt 'ziya' aql ke aazar se nikla