main jab bhi qatl ho kar dekhta hun
to apnon hi ka lashkar dekhta hun
main duniya apne andar dekhta hun
yahin pe sara manzar dekhta hun
kabhi taswir kar deta hun us ko
kabhi taswir ban kar dekhta hun
mujhe is jurm mein andha kiya hai
ki binai se baDh kar dekhta hun
nashat-e-did tha aankhon ka jaana
ki ab pahle se behtar dekhta hun
wo manzar jo nazar aata hai KHali
KHud apne rang bhar kar dekhta hun
wo chehra hae wo chehra wo chehra
jise KHud se bhi chhup kar dekhta hun
Ghazal
Main jab bhi qatl ho kar dekhta hun
Razi Akhtar Shauq

