اردو हिंदी
Main jab bhi koi manzar dekhta hun | Shaahi Shayari
main jab bhi koi manzar dekhta hun

Ghazal

Main jab bhi koi manzar dekhta hun

Jahangeer nayab

;

main jab bhi koi manzar dekhta hun
zara auron se haT kar dekhta hun

kabhi main dekhta hun us ki rahmat
kabhi main apni chadar dekhta hun

nazar ka zawiya badla hai jab se
main kuze mein samundar dekhta hun

kabhi mere liye the phul jin mein
ab un hathon mein patthar dekhta hun

sabhi hain mubtala-e-KHud-farebi
ajab duniya ka manzar dekhta hun

nahin badlaw ke aasar kuchh bhi
abhi haalat abtar dekhta hun

muqaddar mein likhi viraniyon mein
zara sa rang bhar kar dekhta hun

nazar aata hai madfan KHwahishon ka
kabhi jab apne andar dekhta hun

suna hai aag hai us ka sarapa
chalo bahon mein bhar kar dekhta hun

basirat mujh mein hai 'nayab' aisi
main har qatre mein gauhar dekhta hun