main jab bhi koi achhuta kalam likhta hun
to pahle ek ghazal tere nam likhta hun
badan ki aanch se sanwla gae hain pairahan
main phir bhi subh ke chehre pe sham likhta hun
chale to TuTen chaTTanen ruke to aag lage
shamim-e-gul ko to nazuk-KHiram likhta hun
ghaTaen jhum ke barsin jhulas gai kheti
ye hadsa hai ba-sad-e-ehtiram likhta hun
zamin pyasi hai buDha gagan bhi bhuka hai
main apne ahd ke qisse tamam likhta hun
chaman ko auron ne likkha hai mai-kada bar dosh
main phul phul ko aatish-ba-jam likhta hun
na rabta na koi rabt hi raha 'bekal'
us ajnabi ko magar main salam likhta hun
Ghazal
Main jab bhi koi achhuta kalam likhta hun
Bekal Utsahi