main jaanta hun kaun hun main aur kya hun main
duniya samajh rahi hai ki ek parsa hun main
ab mujh mein aur tujh mein koi fasla nahin
tu mera muddaa hai tera muddaa hun main
waiz jabin-e-shauq jhuke to kahan jhuke
naqsh-e-qadam hi un ke abhi DhunDhta hun main
dil ko tajalliyat ka markaz bana liya
ab un ka nam lene ke qabil hua hun main
naseh teri nigah mein baada-parast hun
mai-kash samajh rahe hain baDa parsa hun main
fursat mile kashakash-e-duniya se to kahun
kis wahm kis guman mein uljha hua hun main
ahl-e-KHirad ki aql pahunchti nahin jahan
'wasfi' junun mein aisi jagah aa gaya hun main
Ghazal
Main jaanta hun kaun hun main aur kya hun main
Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi