main in hasin nazaron ke pas aa na saka
KHizan-nasib bahaaron ke pas aa na saka
raha falak pe sitaron mein jalwa gar mahtab
wo apne sina-fagaron ke pas aa na saka
tamam umr raha ham-kanar maujon se
safina apna kinaron ke pas aa na saka
gada-e-ishq ki daulat thi fiqah-o-istighna
wo mal-o-zar ke sahaaron ke pas aa na saka
jahan mein aam gham-e-rozgar tha 'nayyar'
magar wo ishq ke maron ke pas aa na saka
Ghazal
Main in hasin nazaron ke pas aa na saka
Nayyar Wasti