main ek pahaDi tale daba hun kise KHabar hai
baDi aziyyat mein mubtila hun kise KHabar hai
kise KHabar hai ki mera har aks gum hua hai
main ek KHamdar aaina hun kise KHabar hai
kisi ko kya ilm hai ki main kis madar mein hun
main ek be-ant fasla hun kise KHabar hai
ajab shab-o-roz ka tasadum hua hai mujh mein
main ek sitara hun ya hawa hun kise KHabar hai
ajib be-rang dhund mujh mein hai istada
main wast-e-shab mein kahin khaDa hun kise KHabar hai

Ghazal
Main ek pahaDi tale daba hun kise KHabar hai
Rafiq Sandelvi