main ek kiran hun ujala hai tamkanat meri
tamam rangon se bhi hai munasibat meri
main ek KHala hun na buniyaad hai na chhat meri
magar hain donon jahan phir bhi milkiyat meri
guzar raha hun nasheb-o-faraaz se lekin
sala-e-am hai phir bhi salahiyat meri
kabhi mahakta tha jo lucknow hina ki tarah
isi dayar mein likkhi hai shahriyat meri
kabhi bhi jal nahin sakti hain ungliyan 'mutrib'
har ek charagh ki lau par hai saltanat meri

Ghazal
Main ek kiran hun ujala hai tamkanat meri
Mutrib Nizami