main hun zalim ki aan-ban se KHush
warna hai kaun aasman se KHush
na-KHushi ka KHayal tha lekin
wo hue meri dastan se KHush
is tarah bas mein aa gaya koi
kar liya main ne phul pan se KHush
is qadar gham hai mere qatil ko
jis qadar main hun imtihan se KHush
KHak pahunchega wo sar-e-manzil
jo musafir hua takan se KHush
ek ko jhiDki ek ko dhamki
kaun hai aap ki zaban se KHush
chhoD kar dil ko dard jae kahan
ye makin hai isi makan se KHush
pas koi pahunch nahin sakta
is liye hain wo pasban se KHush
jaan-o-dil donon aap le jaen
main hun sau dil hazar jaan se KHush
saqi-e-mai-farosh rahta hai
apni chalti hui dukan se KHush
'nuh' ko chain umr bhar na mila
kya hon wo apne imtihan se KHush
Ghazal
Main hun zalim ki aan-ban se KHush
Nooh Narvi