اردو हिंदी
Main hun teri nigah mein tu hai meri nigah mein | Shaahi Shayari
main hun teri nigah mein tu hai meri nigah mein

Ghazal

Main hun teri nigah mein tu hai meri nigah mein

Naseem Shahjahanpuri

;

main hun teri nigah mein tu hai meri nigah mein
ishq bhi hai panah mein husn bhi hai panah mein

jin ki talab thi mo'tabar mil gain un ko manzilen
jin ki talash KHam hai aaj bhi hain wo rah mein

pas bhi hain wo dur bhi qurb bhi hai firaq bhi
kitna hasin hai fasla mere dil o nigah mein

ishq hai wajh-e-do-jahan ishq hai ruh-e-do-jahan
KHam hai jabin-e-bandagi ishq ki bargah mein

zabt-e-alam ke imtihan dar-o-rasan ke marhale
kaun si mushkilen nahin ahl-e-wafa ki rah mein

zohd ho kyun na be-asar taqwa ho kyun na raegan
kaif hi kaif hai tere mai-kada-e-nigah mein

palkon pe jab jale charagh aain 'nasim' aandhiyan
kitna hasin rabt hai ashk mein aur aah mein