main hun tere liye benam-o-nishan aawara
zindagi mere liye tu hai kahan aawara
tujh se kaT kar koi dekhe to kahan pahuncha hun
jaise naddi mein koi sang-e-rawan aawara
tujh ko dekha hai kahin tujh ko kahan dekha hai
wahm hai sar-ba-gareban o guman aawara
dair-o-kaba ki riwayat se inkar nahin
aao do din to phiren nara-zanan aawara
tere daman ki tarah daman-e-shab raKHshanda
mere ashkon ki tarah kaun-o-makan aawara
jalte-bujhte hain har ek gam pe tabinda nujum
koi hai aaj sar-e-kahkashan aawara
bhigi raaton mein 'zafar' phirta hai tanha tanha
aah wo soKHta-dil soKHta-jaan aawara
Ghazal
Main hun tere liye benam-o-nishan aawara
Yusuf Zafar