main hun KHamosh magar bol raha hai mujh mein
aisa lagta hai koi aur chhupa hai mujh mein
mujh se dilli ki nahin dil ki kahani suniye
shahr to ye bhi kai bar luTa hai mujh mein
tujh ko chahat hai wafa ki to mujhe ghaur se paDh
wo kitabon mein kahan hai jo likha hai mujh mein
muskuraata hua maqtal se guzar aaya hun
zindagi teri koi KHas ada hai mujh mein
ye alag baat ki alfaz hain mere lekin
sach to bas ye hai ki teri hi sada hai mujh mein
mere sheron se bikhar sakte hain us ke gesu
tera andaz bhi ai baad-e-saba hai mujh mein
lakh KHamosh sahi sari fazaen 'mansur'
bolne wala magar bol raha hai mujh mein
Ghazal
Main hun KHamosh magar bol raha hai mujh mein
Mansoor Usmani