اردو हिंदी
Main hun hairan ye silsila kya hai | Shaahi Shayari
main hun hairan ye silsila kya hai

Ghazal

Main hun hairan ye silsila kya hai

Aas Mohammad Mohsin

;

main hun hairan ye silsila kya hai
aaina mujh mein DhunDhta kya hai

KHud se betab hun nikalne ko
koi batlae rasta kya hai

main hababon ko dekh kar samjha
ibtida kya hai intiha kya hai

main hun yakja to phir mere andar
ek muddat se TuTta kya hai

KHud hi tanhaiyon mein chillaun
KHud hi sochun ye shor sa kya hai

jaane kab kya junun mein kar jaun
main to diwana hun mera kya hai