اردو हिंदी
Main hun aur silsila-e-ashk-e-rawan aaj ki raat | Shaahi Shayari
main hun aur silsila-e-ashk-e-rawan aaj ki raat

Ghazal

Main hun aur silsila-e-ashk-e-rawan aaj ki raat

Malikzada Manzoor Ahmad

;

main hun aur silsila-e-ashk-e-rawan aaj ki raat
zindagi hai hama-tan soz ba-jaan aaj ki raat

dida-e-shauq mein hai raqs-kunan aaj ki raat
gham ki bujhti hui shamon ka dhuan aaj ki raat

apni palkon pe larazte hue taron ki qasam
sab ke honTon pe hai fariyaad-o-fughan aaj ki raat

hain kahan aah wo huran-e-tasawwur jin se
dil tha ghairat-dah-e-gulzar-e-jinan aaj ki raat

samne koi nahin ruh-nawaz-e-dil-o-jaan
zindagani ki tamanna hai garan aaj ki raat

chandni raat ke chehre pe hai kyun gham ka ghubar
dhundli dhundli si hai kyun kahkashan aaj ki raat

wo nahin hain to muqaddar mein hain mere 'manzur'
matam-e-marg-e-tamanna-e-jawan aaj ki raat