main hua tera majra tu mera majra hua
waqt yunhi guzar gaya waqt ke baad kya hua
kaisa guzishta din tha jo phir se guzarna paDa
dhup bhi thi bachi hui saya bhi tha bacha hua
subh ke sath jae kaun sham ko le ke aae kaun
raat ka ghar basae kaun hai koi jagta hua
ek makan mein kuchh hua baat suni na ja saki
log gali gali se ab puchh rahe hain kya hua
pakDa gaya tha kya karun shauq tha ye gaDha bharun
subh tulua ka hua sham ghurub ka hua
sahn mein chaarpai par baiTha hua hun der se
lamhon ka masala hun aur sadiyon se hun mila hua
aise mein bhi ajab nahin ji sakun aur mar sakun
apne KHarab o KHub ka hairati hun to kya hua
yun hi to chup nahin hun main koi to baat hai zarur
ye jo qaza hua hai KHwab sajda tha jo qaza hua
aur main baqi rah gaya baaten banane ke liye
meri tarah ka ek shaKHs tere liye fana hua
Ghazal
Main hua tera majra tu mera majra hua
Shaheen Abbas

