اردو हिंदी
Main hi main bikhra hua hun rah-ta-manzil tamam | Shaahi Shayari
main hi main bikhra hua hun rah-ta-manzil tamam

Ghazal

Main hi main bikhra hua hun rah-ta-manzil tamam

Shahab Jafri

;

main hi main bikhra hua hun rah-ta-manzil tamam
KHak-dan ta-asman chhaya hai mustaqbil tamam

pi chuki kitni hi maujon ka lahu sahil ki ret
lashen hi lashen nazar aain sar-e-sahil tamam

ghar ko din bhar ki mata-e-rah-nawardi saunp di
sai-e-paiham ka ghubar-e-shahr tha hasil tamam

dekhna sab ne uTha rakkhi hai kandhon par salib
bhes mein maqtul ke ru-posh hain qatil tamam

mahtab ubhra bhi to jaane kahan Duba ki raat
kar diya maujon ne chhalni sina-e-sahil tamam