اردو हिंदी
Main hi diwana sahi log to farzane hain | Shaahi Shayari
main hi diwana sahi log to farzane hain

Ghazal

Main hi diwana sahi log to farzane hain

Mohammad Yaqoob Aasi

;

main hi diwana sahi log to farzane hain
kyun haqaeq mein mila dete ye afsane hain

ek lamhe ko nigah aur taraf bhaTki thi
warna hum sirf teri did ke diwane hain

jis ne dekha na use hosh raha tan-man ka
teri aankhen hain ki jadu hain ki mai-KHane hain

dil mein wo kuchh hai ki lafzon mein ada ho na sake
wo samundar to ye TuTe hue paimane hain

ek wo log ki sahraon ko raunaq baKHshen
ek hum hain ki bhare shahr bhi virane hain

wo bhi din the jo kiya karta tha KHud se baaten
aaj 'asi' ke baDe logon se yarane hain