main hi bolunga na tu bolega
be-gunahon ka lahu bolega
mausam-e-gul mein ye ejaz-e-junun
ek ek tar-e-rafu bolega
mai-kada bhi hai karamat ka maqam
dast-e-saqi mein subu bolega
pas-e-paiman-e-mohabbat hai mujhe
chup rahen dost adu bolega
main bad-aKHlaq nahin hun mujh se
kyun but-e-arbada-ju bolega
jurm-e-haq-goi mein sar jaane par
mera ek ek bun-e-mu bolega
huk uThegi mere dil se 'raghib'
jab papiha lab-e-ju bolega

Ghazal
Main hi bolunga na tu bolega
Raghib Muradabadi