اردو हिंदी
Main hawa ke dosh pe rakkha hua | Shaahi Shayari
main hawa ke dosh pe rakkha hua

Ghazal

Main hawa ke dosh pe rakkha hua

Nishant Shrivastava Nayab

;

main hawa ke dosh pe rakkha hua
patta hun par shaKH se TuTa hua

raat ki gullak mein karta jama hun
pure din ka jo bhi hai joDa hua

titliyan akasr hain mujh se puchhti
pas mere phul tha jo kya hua

wo koi saya nahin tha main hi tha
dhup tera KHwah-maKHwah harja hua

pyas apni jaD se main ne KHatm ki
dariya honTon pe rakha jalta hua

zehn to mahfuz hota par ye kya
ye nagar bhi hai tera luTa hua