main harf-e-ibtida hun 
musalsal ek sada hun 
sahar ki aarzu mein 
kahan tak aa gaya hun 
taKHayyul hun usi ka 
main jis ka naqsh-e-pa hun 
zamana dekhta hai 
main jis ko dekhta hun 
mujhe ye hosh kab hai 
bura hun ya bhala hun 
use suljhaun kaise 
main KHud uljha hua hun
        Ghazal
Main harf-e-ibtida hun
Aghaz Barni

