main ham-nafasan jism hun wo jaan ki tarah tha 
main dard hun wo dard ke unwan ki tarah tha 
tu kaun tha kya tha ki baras guzre pa ab bhi 
mahsus ye hota hai rag-e-jaan ki tarah tha 
jis ke liye kanTa sa chubha karta tha dil mein 
pahlu mein wo aaya to gulistan ki tarah tha 
ek umr ulajhta raha duniya ki hawa se 
kya main bhi tere kakul-e-pechan ki tarah tha 
jina to ghazab hai magar ai umr ajab hai 
tujh ko to KHabar hai wo meri jaan ki tarah tha 
ai raat ke andhiyare mein jage hue lamho! 
DhunDo use wo KHwab-e-pareshan ki tarah tha 
miTTi ko yahan panw pakaDna nahin aata 
main shahr mein bhi gard ke tufan ki tarah tha 
lo harf-e-ghazal ban ke numayan hua 'baqar' 
kal ramz-sifat mani-e-pinhan ki tarah tha
        Ghazal
Main ham-nafasan jism hun wo jaan ki tarah tha
Sajjad Baqar Rizvi

