main ham-nafas hun mujhe raaz-dan bhi karna tha
jo tujh pe bit rahi hai bayan bhi karna tha
ata kiya tha makan kis liye agar mujh ko
tamam shahr mein be-KHanuman bhi karna tha
tere KHayal ki sarhad se bhi pare jo tha
mujhe ubur wo dasht-e-ziyan bhi karna tha
to kya wo mausam-e-shorish mein hi ye bhul gae
bahaal shahr mein amn-o-aman bhi karna tha
us aaftab ko apni rida utarni thi
hamare chashma-e-KHun ko rawan bhi karna tha
bana diya dar-o-diwar KHamushi se agar
to phir makan ko mere la-makan bhi karna tha

Ghazal
Main ham-nafas hun mujhe raaz-dan bhi karna tha
Shafaq Sopori