main habib hun kisi aur ka meri jaan-e-jaan koi aur hai
sar-e-dastan koi aur hai pas-e-dastan koi aur hai
ye azab-e-dar-ba-dari miyan hai azal se mera rafiq-e-jaan
main makin hun kahin aur ka mera KHak-dan koi aur hai
ye to apna apna nasib hai kise kitni quwwat-e-par mili
tera aasman koi aur hai mera aasman koi aur hai
ye jo zindagi ki hain gutthiyan ye sulajh ke bhi na sulajh sakin
hain agarche wajh-e-sukun hum yahan shadman koi aur hai
mujhe shairi ka hunar mila mujhe ganj-e-lal-o-guhar mila
mere harf mein mere lafz mein jo hai be-karan koi aur hai
Ghazal
Main habib hun kisi aur ka meri jaan-e-jaan koi aur hai
Tariq Matin