main hath baDhaun kya daman-e-gulistan tak
hai rang-e-gul-e-lala nairang-e-bahaaran tak
phulon se raha KHali daman-e-wafa apna
kanTe hi mile hum ko gulshan se bayaban tak
uThte hain bagule to sahra ki taraf jaen
diwanon ki duniya hai daman se gareban tak
kaT jaengi ek din sab aalam ki zanjiren
ye qaid-e-musalsal hai majburi-e-insan tak
be-soz koi naghma maqbul nahin hota
mizrab-e-gham-e-dil ko le jao rag-e-jaan tak
kashane gharibon ke sar apna uThaenge
miTTi ke charaghon ki lau jaegi aiwan tak
turfa koi kya jaane gham ahl-e-mohabbat ka
jati hai nazar kis ki zaKHm-e-dil-e-insan tak
Ghazal
Main hath baDhaun kya daman-e-gulistan tak
Turfa Qureshi