اردو हिंदी
Main gila tum se karun ai yar kis kis baat ka | Shaahi Shayari
main gila tum se karun ai yar kis kis baat ka

Ghazal

Main gila tum se karun ai yar kis kis baat ka

Imdad Ali Bahr

;

main gila tum se karun ai yar kis kis baat ka
ye kahani din ki ho jae na qissa raat ka

tark ki mujh se mulaqat aap ne achchha kiya
gham miTa har-waqt ka jhagDa gaya din-raat ka

be-tamizon se tabiat aashna hoti nahin
chahne wala hun main mahbub-e-KHush aur raat ka

main to kuchh kahta hun tum se tum samajhte ho kuchh aur
jabki baaton mein kalam aaya maza kya baat ka

tere aane ki dua manga kabhi jaga kiye
raat-bhar aalam raha ai but KHudai raat ka

wah kya nam-e-KHuda saj-dhaj hai kya andaz hai
aadmi dekha nahin is qad ka aur is kat ka

samne yun aae botal jaise aati hai ghaTa
jam yun jhalke ki main dekhun saman barsat ka

ishq wo ghaarat-gar-e-iman hai ye chahe agar
waizon ko kalma paDhwae manat-o-lat ka

aise jhuTe ho agar sach bhi kabhi ho bolte
eatibar aata nahin sahab tumhaari baat ka

yar tum ko dil nahin dene ka be-bosa liye
tum jo apni gunge ho main bhi hun apni ghat ka

ahl-e-duniya KHush hon ya na-KHush hon kuchh parwa nahin
aasra rakhta hai ye banda KHuda ki zat ka

jab tumhaari kan ki bijli chamak kar rah gai
meri aankhon ne saman dikhla diya barsat ka

qamat-e-jaanan hai mil-e-manzil-e-awwal mujhe
kakul-e-shab-gun hai jada wadi-e-afat ka

tash ka mubaf choTi mein muqarrar chahiye
chandni se aur hi hota hai joban raat ka

'bahr' apni apni qismat hai ba-shakl-e-mehr-o-mah
zar use baKHsha use kasa diya KHairaat ka