main ghar se zehn mein kuchh sochta nikal aaya
saDak pe KHauf ka ek silsila nikal aaya
wo ek dard shagufta gulab ho kar bhi
badan pe zaKHm sa jaise naya nikal aaya
sulagti dhup ne is darja kar diya be-tab
mujhi se saya mera hanpta nikal aaya
safed-poshon ki tauqir ke tahaffuz mein
hamare shahr ka tabqa baDa nikal aaya
mujhe wo rakhta hai masruf kis nazakat se
ki gham se rishta mera dusra nikal aaya
wo ek lams tha us ka hayat ka zamin
chhua jo peD to patta hara nikal aaya
Ghazal
Main ghar se zehn mein kuchh sochta nikal aaya
Hasan Nizami