main ghar se dur utaq-e-badan mein rahta hun
sawad-e-hijr ke bab-e-kuhan mein rahta hun
kahin to rahna hai jab tak mila hai izn-e-qayam
so harf-o-saut ke shahr-e-suKHan mein rahta hun
main aks hun tere pairahan-e-gul-o-mul ka
main ek rang hun barg-e-saman mein rahta hun
kabhi hun zulf ki zholidagi mein warafta
kabhi main teri jabin ki shikan mein rahta hun
misal-e-bosa-e-doshizgan-e-shahr-e-jamal
tere labon ke gulabi chaman mein rahta hun
miyan-e-chashm-zadan DhunDh mujh ko palkon mein
kahin nahin hun tilism-zadan mein rahta hun
jahan se tu ne nikala mere ab-o-jad ko
main aaj bhi usi bagh-e-adan mein rahta hun
wahi hua hun ghazal-e-safa ke nafe mein
main mushk-e-la hun hawa-e-KHutan mein rahta hun
hai panjand ki guzargah mera nisf KHayal
main nisf wadi-e-gang-o-jaman mein rahta hun
zamin mere liye sair-gah hai 'masud'
main shams-zad hun nile gagan mein rahta hun
Ghazal
Main ghar se dur utaq-e-badan mein rahta hun
Masood Munavvar