main ghazal ka harf-e-imkan masnawi ka KHwab hun
apni sab rudad likhne ke liye betab hun
main babulon ki tarah phula-phala hun dasht mein
abr aae ya na aae main sada shadab hun
mauj-e-sahba hun agar hai zarf yaran aaina
kuchh ghubar aae nazar to sar-ba-sar girdab hun
main hun ek viran sitara-gar hai koi na-shanas
koi hai raushan-nazar to chashma-e-mahtab hun
kya samajh kar mujh se uljhe hain 'hasan' lail-o-nahaar
aap apna roz-o-shab hun aap aalam-tab hun
Ghazal
Main ghazal ka harf-e-imkan masnawi ka KHwab hun
Hasan Nayeem