اردو हिंदी
Main ghazal hun mujhe jab aap suna karte hain | Shaahi Shayari
main ghazal hun mujhe jab aap suna karte hain

Ghazal

Main ghazal hun mujhe jab aap suna karte hain

Lata Haya

;

main ghazal hun mujhe jab aap suna karte hain
chand lamhe mera gham banT liya karte hain

jab wafa karte hain hum sirf wafa karte hain
aur jafa karte hain jab sirf jafa karte hain

log chahat ki kitabon mein chhupa kar chehre
sirf jismon ki hi tahrir paDha karte hain

log nafrat ki fazaon mein bhi ji lete hain
hum mohabbat ki hawa se bhi Dara karte hain

apne bachchon ke liye lakh gharibi ho magar
man ke pallu mein kai sikke mila karte hain

jo kabhi KHush na hue dekh ke shohrat meri
mere apne hain mujhe pyar kiya karte hain

jin ke jazbaat hun nuqsan nafa ki zad mein
un ke dil mein kai bazar saja karte hain

fikr-o-ehsas pe parda hai 'haya' ka warna
hum ghalat baat na sunte na kaha karte hain