main fart-e-masarrat se Dar hai ki na mar jaun
likha hai mujhe us ne main had se guzar jaun
ek bar hi ho jae ho jae jo hona hai
utrun main tere dil mein ya dil se utar jaun
jis rah mein bhi dekhun mein naqsh-e-qadam un ka
mujh par hai adab lazim ek pal to Thahar jaun
wo baDh ke laga lenge KHud mujh ko gale apne
jo samne mein un ke ba-dida-tar jaun
aankhen jo ata ki hain to ye bhi dua sun le
dekhun to use dekhun ya jaan se guzar jaun
kyun aankh meri zalim rah rah ke phaDakti hai
mumkin hai wo aa jaen main bhi to sanwar jaun
wo bhi to maza chakkhen kuchh dard mohabbat ka
achchha hai ki dil le kar main saf mukar jaun
kam-baKHt mohabbat bhi ek rog hai jaan-lewa
malum nahin mujh ko kab jaan se guzar jaun
raste ki wahi mushkil manzil ki wahi duri
aur dil ki wahi hasrat ta-hadd-e-nazar jaun
palkon se chunun apni kanTe teri rahon ke
jun barg-e-gul hasrat rahon mein bikhar jaun
gar chashm-e-karam un ki ho jae kabhi mujh par
fan mera chamak uThe main aur nikhar jaun
jis shahar ko chhoDa tha mayus-e-wafa ho kar
ab dil ki yahi zid hai wan bar-e-digar jaun
haq baat kahi main ne milni hai saza mujh ko
jab manzil-e-dar aae mumkin nahin Dar jaun
itni baDi duniya mein ek un ka sahaara tha
jab wo hi nahin ham-dam phir 'soz' kidhar jaun

Ghazal
Main fart-e-masarrat se Dar hai ki na mar jaun
Sardar Soz