main faqat is jurm mein duniya mein ruswa ho gaya
main ne jis chehre ko dekha tere jaisa ho gaya
chand mein kaise nazar aae teri surat mujhe
aandhiyon se aasman ka rang maila ho gaya
ek main hi raushni ke KHwab ko tarsa nahin
aaj to suraj bhi jab nikla to andha ho gaya
ye bhi shayad zindagi ki ek ada hai dosto
jis ko sathi mil gaya wo aur tanha ho gaya
ek patthar zindagi ne tak kar mara mujhe
choT wo khai ki sara jism dohra ho gaya
mil gaya miTTi mein jab 'afzal' to ye aai sada
gir gai diwar aur saya akela ho gaya
Ghazal
Main faqat is jurm mein duniya mein ruswa ho gaya
Afzal Minhas