main ek raat mohabbat ke saeban mein tha
mera tamam badan ruh ki kaman mein tha
dhanak jali thi faza KHun se munawwar thi
mere mizaj ka ek rang aasman mein tha
jo sochta hun use dil mein phul khilte hain
wo KHush-nigah nahin tha to kaun dhyan mein tha
ye hadsa hai ki donon KHizan-sarisht hue
magar bahaar ka ek ahd darmiyan mein tha
mujhe aziz rahi dushmani ki talKHi bhi
is ek zahr se kya zaiqa zaban mein tha
Ghazal
Main ek raat mohabbat ke saeban mein tha
Saqi Faruqi