main ek pal ki tha KHushbu kidhar nikal aaya
chala main mujh ko hawa ka safar nikal aaya
na khinchni thi tumhein sath-e-ab ki chadar
kabhi ka ghat mein baiTha bhanwar nikal aaya
barahnagi ko tamasha bhi dardnak mila
badan ke rang jab utre khanDar nikal aaya
wo ek abr to bijli se raat bhar laDta
hawa ke miyan se KHanjar magar nikal aaya
sukut-e-ab se Dar kar jo mari chiKH us ne
to ek kaTa hua dariya se sar nikal aaya
shikast o reKHt ke hathon ne kuchh diya to sahi
gira makan to guDiya ka ghar nikal aaya
Ghazal
Main ek pal ki tha KHushbu kidhar nikal aaya
Musavvir Sabzwari

