main ek kanch ka paikar wo shaKHs patthar tha
so pash pash to hona mera muqaddar tha
tamam raat sahar ki duaen mangi thin
khuli jo aankh to suraj hamare sar par tha
charagh-e-rah-e-mohabbat hi ban gae hote
tamam umr ka jalna agar muqaddar tha
fasil-e-shahr pe kitne charagh the raushan
siyah raat ka pahra dilon ke andar tha
agarche KHana-badoshi hai KHushbuon ka mizaj
mera makan to kal raat bhi moattar tha
samundaron ke safar mein wo pyas ka aalam
ki farsh-e-ab pe ek karbala ka manzar tha
isi sabab to baDha e'tibar-e-laghzish-e-pa
hamara josh-e-junun aagahi ka rahbar tha
jo mahtab hisar-e-shab-e-siyah mein hai
kabhi wo raat ke sine pe misl-e-KHanjar tha
main us zamin ke liye phul chun raha hun 'rais'
mera nasib jahan be-aman samundar tha
Ghazal
Main ek kanch ka paikar wo shaKHs patthar tha
Raees Warsi