main ek harf maani ka ek daftar wo
main ek mauj-e-sarab-e-junun samundar wo
tamam sabit-o-sayyar us ke halqa-ba-gosh
ye kaenat hai ek daera to mehwar wo
tamam mumlikaten us ke hi qalam-rau main
sab us ke zer-e-nagin bahr-o-bar ka dawar wo
saron pe ahl-e-karam ke hai abr rahmat ka
sitam-garon ke liye qahr ka hai lashkar wo
kahin hai din ki tapish mein shajar shajar saya
kahin hai shab ke andhere mein mah-o-aKHtar wo
koi madad ko na aaega aisi manzil hai
panah jaan ko milegi agar hai rahbar wo
phir us ki hamd-o-sana kis tarah likhi jae
hudud-e-lafz-o-maani se jab hai bahar wo
kitab-e-din ki takmil ho chuki 'mohsin'
zamin pe bhej chuka aaKHiri payambar wo
Ghazal
Main ek harf maani ka ek daftar wo
Mohsin Zaidi