main ek hath teri maut se mila aaya
tere sirhane agarbattiyan jala aaya
mahakte bagh sa ek KHandan ujaD diya
ajal ke hath mein kya phul ke siwa aaya
tera KHayal na aaya so teri furqat mein
main ro chuka to mere dil ko sabr sa aaya
misal-e-kunj-e-qafas kuchh jagah thi tere qarib
main apne nam ki taKHti wahan laga aaya
makan apni jagah se haTa hua tha 'zafar'
na jaane kaun sa lamha gurez-pa aaya
Ghazal
Main ek hath teri maut se mila aaya
Sabir Zafar