اردو हिंदी
Main ek bund samundar hua to kaise hua | Shaahi Shayari
main ek bund samundar hua to kaise hua

Ghazal

Main ek bund samundar hua to kaise hua

Faragh Rohvi

;

main ek bund samundar hua to kaise hua
ye mojaza mere andar hua to kaise hua

ye bhed sab pe ujagar hua to kaise hua
ki mere dil mein tera ghar hua to kaise hua

na chand ne kiya raushan mujhe na suraj ne
to main jahan mein munawwar hua to kaise hua

na aas-pas chaman hai na gul-badan koi
hamara kamra moattar hua to kaise hua

zara si baat pe ek gham-gusar ke aage
main apne aape se bahar hua to kaise hua

sulagte sahra mein tufan ka samna tha mujhe
ye marka jo hua sar hua to kaise hua

wo jang haar ke mujh se ye puchhta hai ki main
baghair tegh muzaffar hua to kaise hua

suna hai amn-paraston ka wo ilaqa hai
wahin shikar kabutar hua to kaise hua