main dur ho ke bhi us se juda nahin hota
hamare bich koi fasla nahin hota
baghair us ke ho ehsas-e-zindagi ka safar
ye sochta to hun par hausla nahin hota
wo is tarah se meri zindagi ka hissa hai
is ek his ka badal dusra nahin hota
kiya hai gardish-e-haalat ne mujhe majbur
wagarna zarf chhalakta sada nahin hota
ye sab hai sehr usi nargisi nigahi ka
mujhe tha faKHr kabhi ki nasha nahin hota
na jama karte jo lakDi siyasaton ke giroh
dhuan to shahr se hargiz uTha nahin hota
Ghazal
Main dur ho ke bhi us se juda nahin hota
Mohammad Azhar Shams