main duniya ki haqiqat jaanta hun 
kise milti hai shohrat jaanta hun 
meri pahchan hai sher-o-suKHan se 
main apni qadr-o-qimat jaanta hun 
teri yaaden hain shab-bedariyan hain 
hai aankhon ko shikayat jaanta hun 
main ruswa ho gaya hun shahar-bhar mein 
magar kis ki badaulat jaanta hun 
ghazal phulon si dil sahraon jaisa 
main ahl-e-fan ki haalat jaanta hun 
taDap kar aur taDpaegi mujh ko 
shab-e-gham teri fitrat jaanta hun 
sahar hone ko hai aisa lage hai 
main suraj ki siyasat jaanta hun 
diya hai 'naqsh' jo gham zindagi ne 
use main apni daulat jaanta hun
        Ghazal
Main duniya ki haqiqat jaanta hun
Naqsh Layalpuri

