main dua mangun to dil mujh se KHafa ho jaega
sar jhuka to sar ko sajdon ka nasha ho jaega
KHwahishon ke Dubte suraj ne batlaya na tha
mera saya mere qad se bhi baDa ho jaega
ya to mujh se chhin lo ye but-tarashi ka hunar
warna main jo but tarashun to KHuda ho jaega
guftugu mein zabt lazim hai zara si chuk par
lab pe aa ke harf harf-e-muddaa ho jaega
ye mujhe malum kab tha KHwahishon ki bhiD mein
mera ek ek sans jine ki saza ho jaega
mere dard-o-karb ki parchhaiyan chehre pe hain
main ye aansu rok bhi lunga to kya ho jaega
baat to jurm-o-saza ki hai magar mahshar ke din
kuchh na kuchh us se hamara faisla ho jaega

Ghazal
Main dua mangun to dil mujhse KHafa ho jaega
Om Krishn Rahat