اردو हिंदी
Main dil-zada hun agar dil-figar wo bhi hain | Shaahi Shayari
main dil-zada hun agar dil-figar wo bhi hain

Ghazal

Main dil-zada hun agar dil-figar wo bhi hain

Ahmad Rahi

;

main dil-zada hun agar dil-figar wo bhi hain
ki dard-e-ishq ke ab dawedar wo bhi hain

hua hai jin ke karam se dil o nazar ka ziyan
ba-faiz-e-waqt mere gham-gusar wo bhi hain

shahid jazbon ki fahrist kya murattab ho
shumar mein jo nahin be-shumar wo bhi hain

dil-e-tabah! ye aasar hain qayamat ke
rahin-e-gardish-e-lail-o-nahaar wo bhi hain

harim-e-husn ki tazin the jo paikar-e-naz
ba-haal-e-zar sar-e-rahguzar wo bhi hain

wo jin se aam hui dastan-e-ahd-e-junun
tere gunah dil-e-na-karda-kar wo bhi hain