main dil mein un ki yaad ke tufan ko pal kar
laya hun ek mauj-e-taghazzul nikal kar
paimana-e-tarab mein kahin baal aa gaya
main garche pi raha tha bahut hi sambhaal kar
mahfil jami hui hai teri rah mein koi
ai gardish-e-zamana bas itna KHayal kar
aazad jins-e-dil ko faqat ek nazar pe bech
sauda giran nahin na bahut qil-o-qal kar
KHat ke jawab mein na laga itni der tu
mera agar nahin hai to apna KHayal kar
kyun main ne dil diya hai kise main ne dil diya
ai aql aaj mujh se na itne sawal kar
ai dil ye rah-e-ishq hai rah-e-KHirad nahin
is par qadam baDha tu zara dekh bhaal kar
phir ishq bazm-e-husn ki jaanib rawan hai aaj
diwangi ko aql ke sanche mein Dhaal kar
'azad' phir dakan ka samundar hai aur tu
le ja dil o nazar ka safina sambhaal kar
Ghazal
Main dil mein unki yaad ke tufan ko pal kar
Jagan Nath Azad