main DhunDta hun jise wo jahan nahin milta
nai zamin naya aasman nahin milta
nai zamin naya aasman bhi mil jae
nae bashar ka kahin kuchh nishan nahin milta
wo tegh mil gai jis se hua hai qatl mera
kisi ke hath ka us par nishan nahin milta
wo mera ganw hai wo mere ganw ke chulhe
ki jin mein shole to shole dhuan nahin milta
jo ek KHuda nahin milta to itna matam kyun
yahan to koi mera ham-zaban nahin milta
khaDa hun kab se main chehron ke ek jangal mein
tumhaare chehre ka kuchh bhi yahan nahin milta
Ghazal
Main DhunDta hun jise wo jahan nahin milta
Kaifi Azmi