main dhund-fazaon mein uDa bhi hun gira bhi
thi quwwat-e-parwaz bhi aur KHauf-e-qaza bhi
main apne hi zindan-e-tilismi ka zubun tha
har-chand teri shoabada-kari se bacha bhi
lai hai kahan mujh ko tabiat ki do-rangi
duniya ka talabgar bhi duniya se KHafa bhi
pa-basta-e-zanjir-e-hawa chhuT gae hain
mauquf hua silsila-e-qatl-e-nawa bhi
KHwabida lahu bazu-e-parwaz mein jaga
raushan hui dhundlai hui zard faza bhi
aankhen hain magar KHwab se mahrum hain 'midhat'
taswir ka rishta nahin rangon se zara bhi
Ghazal
Main dhund-fazaon mein uDa bhi hun gira bhi
Midhat-ul-Akhtar