اردو हिंदी
Main dayar-e-qatilan ka ek tanha ajnabi | Shaahi Shayari
main dayar-e-qatilan ka ek tanha ajnabi

Ghazal

Main dayar-e-qatilan ka ek tanha ajnabi

Talib Johari

;

main dayar-e-qatilan ka ek tanha ajnabi
DhunDhne nikla hun KHud apne hi jaisa ajnabi

aashnaon se sawal-e-ashnai kar ke dekh
phir pata chal jaega hai kaun kitna ajnabi

Dubte mallah tinkon se madad manga kiye
kashtiyan Dubin to thi har mauj-e-dariya ajnabi

mil jo mujh ko aafiyat ki bhik dene aae the
kis se puchhun kaun the wo aashna ya ajnabi

be-murawwat shahriyon ne fasle kam kar diye
warna pahle shahr ko lagta tha sahra ajnabi

ye munafiq rup kab se meri aadat ban gaya
mere chehre se hai kyun mera sarapa ajnabi