اردو हिंदी
Main dastaras se tumhaari nikal bhi sakta hun | Shaahi Shayari
main dastaras se tumhaari nikal bhi sakta hun

Ghazal

Main dastaras se tumhaari nikal bhi sakta hun

Aziz Nabeel

;

main dastaras se tumhaari nikal bhi sakta hun
ye soch lo ki main rasta badal bhi sakta hun

tumhaare baad ye jaana ki main jo patthar tha
tumhaare baad kisi dam pighal bhi sakta hun

qalam hai hath mein kirdar bhi mere bas mein
agar main chahun kahani badal bhi sakta hun

meri sirisht mein waise to KHushk dariya hai
agar pukar le sahra ubal bhi sakta hun

use kaho ki gurezan na yun rahe mujh se
main ehtiyat ki barish mein jal bhi sakta hun