main dasht-e-sher mein yun raegan to hota raha
isi bahane magar kuchh bayan to hota raha
koi talluq-e-KHatir to tha kahin na kahin
wo KHush-guman na sahi bad-guman to hota raha
use KHabar hi nahin kitne log rakh hue
wo apne lahje mein aatish-fishan to hota raha
na ehtiyaj ke nale na ehtijaj ki lai
bas ek hamhama-e-raigan to hota raha
hum aise KHak-nashinon ki baat kis ne ki
agarche tazkara-e-kahkashan to hota raha
subuk-sari ke liye tum ne kya kiya 'rashid'
falak se shikwa-e-bar-e-giran to hota raha
Ghazal
Main dasht-e-sher mein yun raegan to hota raha
Rashid Jamaal Farooqi