main dariya hun magar donon taraf sahil hai tanhai
talatum-KHez maujon mein meri shamil hai tanhai
mohabbat ho to tanhai mein bhi ek kaif hota hai
tamannaon ki naghma-afrin mahfil hai tanhai
bahut din waqt ki hangama-arai mein guzre hain
inhen guzre hue ayyam ka hasil hai tanhai
hujum-e-zist se duri ne ye mahaul baKHsha hai
akeli main mera kamra hai aur qatil hai tanhai
mere har kaam ki mujh ko wahi tahrik deti hai
agarche dekhne mein kis qadar mushkil hai tanhai
usi ne to taKHayyul ko mere parwaz baKHshi hai
KHuda ka shukr hai jo ab kisi qabil hai tanhai
mohabbat ki shuaon se tawanai jo milti hai
isi rangini-e-mafhum mein daKHil hai tanhai
KHuda hasrat-zada dil ki tamannaon se waqif hai
duaen roz-o-shab karti hui sail hai tanhai
kisi ki yaad hai dil mein abhi tak anjuman-ara
'sabila' kaun samjhega ki mera dil hai tanhai

Ghazal
Main dariya hun magar donon taraf sahil hai tanhai
Sabeela Inam Siddiqui